mujhko teri chahat zinda rakhti hai
mujh ko terī chāhat zinda rakhtī hai
aur tujhe ye hālat zinda rakhtī hai
Dho Dho kar har roz jise thak jaatā huuñ
us sāmāñ kī sañgat zinda rakhtī hai
sūraj ne tezāb hai chhiḌkā shāḳhoñ par
gulshan ko kyā rañgat zinda rakhtī hai
chaḌhte sūraj kī maiñ puujā kartā huuñ
yaar yahī ik ḳhaslat zinda rakhtī hai
chuum ke hāthoñ kī rekhā.eñ sotā huuñ
ḳhvāboñ kī ye daulat zinda rakhtī hai
pal-do-pal āñgan meñ tere rahtā huuñ
ek yahī to fursat zinda rakhtī hai
mujh ko teri chahat zinda rakhti hai
aur tujhe ye haalat zinda rakhti hai
Dho Dho kar har roz jise thak jata hun
us saman ki sangat zinda rakhti hai
suraj ne tezab hai chhiDka shaKHon par
gulshan ko kya rangat zinda rakhti hai
chaDhte suraj ki main puja karta hun
yar yahi ek KHaslat zinda rakhti hai
chum ke hathon ki rekhaen sota hun
KHwabon ki ye daulat zinda rakhti hai
pal-do-pal aangan mein tere rahta hun
ek yahi to fursat zinda rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.