mujhko thapak thapak ke sulata raha charagh
mujh ko thapak thapak ke sulātā rahā charāġh
pahlū meñ raat bhar mire baiThā rahā charāġh
kahtā rahā ki raat ye kitnī hasīn hai
tīra-shabī kā girya bhī kartā rahā charāġh
sūraj kā ek baar faqat naam kyā liyā
mujh se tamām raat hī laḌtā rahā charāġh
us ko mirī shikast kī itnī ḳhushī huī
hāthoñ pe haath maar ke hañstā rahā charāġh
maiñ us kī zard lau meñ ḳhudā dekhtā rahā
kamre meñ raat bhar mire jaltā rahā charāġh
tab tak mire qalam ne faqat raushnī likhī
jab tak hathelī par mirī likhtā rahā charāġh
pahlū meñ us ke kal tirī tasvīr thī paḌī
ġhazleñ tire jamāl pe kahtā rahā charāġh
āñkheñ mirī bhī surḳh thiiñ vo bhī bujhā bujhā
yuuñ mere saath saath hī rotā rahā charāġh
maiñ us ke paas baiTh ke kahtā rahā ġhazal
aur puure inhimāk se suntā rahā charāġh
kal us ke saath merī baḌī guftugū huī
merī kahānī sun ke sisaktā rahā charāġh
tark-e-ta.alluqāt kā mīsāq jab huā
mere aur us ke darmiyāñ baiThā rahā charāġh
jaane havā ne kyā kahā kānoñ meñ us ke kal
'dānish' tamām raat machaltā rahā charāġh
mujh ko thapak thapak ke sulata raha charagh
pahlu mein raat bhar mere baiTha raha charagh
kahta raha ki raat ye kitni hasin hai
tira-shabi ka girya bhi karta raha charagh
suraj ka ek bar faqat nam kya liya
mujh se tamam raat hi laDta raha charagh
us ko meri shikast ki itni KHushi hui
hathon pe hath mar ke hansta raha charagh
main us ki zard lau mein KHuda dekhta raha
kamre mein raat bhar mere jalta raha charagh
tab tak mere qalam ne faqat raushni likhi
jab tak hatheli par meri likhta raha charagh
pahlu mein us ke kal teri taswir thi paDi
ghazlen tere jamal pe kahta raha charagh
aankhen meri bhi surKH thin wo bhi bujha bujha
yun mere sath sath hi rota raha charagh
main us ke pas baiTh ke kahta raha ghazal
aur pure inhimak se sunta raha charagh
kal us ke sath meri baDi guftugu hui
meri kahani sun ke sisakta raha charagh
tark-e-talluqat ka misaq jab hua
mere aur us ke darmiyan baiTha raha charagh
jaane hawa ne kya kaha kanon mein us ke kal
'danish' tamam raat machalta raha charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.