mujhko to mashq-e-samaat hai chalo tum bolo
mujh ko to mashq-e-samā.at hai chalo tum bolo
tum ko sunñā mirī aadat hai chalo tum bolo
maiñ ne ḳhāmoshī ko āsān kiyā hai ḳhud par
merī barsoñ kī riyāzat hai chalo tum bolo
tum se ābād hai bātoñ kī tilismī duniyā
ye tumhārī bhī zarūrat hai chalo tum bolo
hama-tan-gosh zamāna hai abhī mauqa hai
tum ko hāsil ye suhūlat hai chalo tum bolo
hukm goyā.ī kā jab tak na mile 'nusrat' ko
tab talak tum ko ijāzat hai chalo tum bolo
mujh ko to mashq-e-samaat hai chalo tum bolo
tum ko sunna meri aadat hai chalo tum bolo
main ne KHamoshi ko aasan kiya hai KHud par
meri barson ki riyazat hai chalo tum bolo
tum se aabaad hai baaton ki tilismi duniya
ye tumhaari bhi zarurat hai chalo tum bolo
hama-tan-gosh zamana hai abhi mauqa hai
tum ko hasil ye suhulat hai chalo tum bolo
hukm goyai ka jab tak na mile 'nusrat' ko
tab talak tum ko ijazat hai chalo tum bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.