mujhko to ye fareb-e-tamanna dikhai de
mujh ko to ye fareb-e-tamannā dikhā.ī de
duniyā tire baġhair tamāsha dikhā.ī de
kis ko batā.eñ jā ke zamāne meñ apnā ġham
har shaḳhs apnī aag meñ jaltā dikhā.ī de
kal tak jo kah rahā thā añdheroñ kā ġham na kar
ab vo bhī raushnī kā luTerā dikhā.ī de
insān apnī ziist ke rangīn ḳhvāb se
rotā dikhā.ī de kabhī hañstā dikhā.ī de
suulī chaḌhā.iye use mansūr kī tarah
jis ke laboñ pe sach kā ujālā dikhā.ī de
har dam mahak rahā hai ye tere ḳhayāl se
dil bhī tire makāñ kā darīcha dikhā.ī de
dushman ke paas mujh ko zarā le chalo 'adīm'
kuchh to mirī hayāt ko rasta dikhā.ī de
mujh ko to ye fareb-e-tamanna dikhai de
duniya tere baghair tamasha dikhai de
kis ko bataen ja ke zamane mein apna gham
har shaKHs apni aag mein jalta dikhai de
kal tak jo kah raha tha andheron ka gham na kar
ab wo bhi raushni ka luTera dikhai de
insan apni zist ke rangin KHwab se
rota dikhai de kabhi hansta dikhai de
suli chaDhaiye use mansur ki tarah
jis ke labon pe sach ka ujala dikhai de
har dam mahak raha hai ye tere KHayal se
dil bhi tere makan ka daricha dikhai de
dushman ke pas mujh ko zara le chalo 'adim'
kuchh to meri hayat ko rasta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.