mujhko us raste par chalna hota hai
mujh ko us raste par chalnā hotā hai
jis pe añdherā ḳhuub añdherā hotā hai
saath raheñge kah kar hausla dete haiñ
āḳhir un ko bhī ghar jaanā hotā hai
jab aatā hai hosh hameñ kyā karnā hai
haath meñ umr kā aadhā hissa hotā hai
begam shauhar ujḌe ujḌe lagte haiñ
āḳhir kis ne kis ko luuTā hotā hai
dil puna se mumbai tak bhī jaa.e to
raste meñ dillī kalkatta hotā hai
varzish kartā achchhā khātā piitā hai
vo bhī ik din marne vaalā hotā hai
marne ko huuñ raazī mere marne par
dekhūñ kis kā ullū sīdhā hotā hai
jhuuT se apnī jaan bachā paatā lekin
dīvāna āḳhir dīvāna hotā hai
avval avval kā sīdhā-sāda rishta
āḳhir āḳhir meñ pechīda hotā hai
ek ḳhudā hai ek ḳhudā bas ek ḳhudā
ya.anī vo bhī tanhā tanhā hotā hai
mujh ko us raste par chalna hota hai
jis pe andhera KHub andhera hota hai
sath rahenge kah kar hausla dete hain
aaKHir un ko bhi ghar jaana hota hai
jab aata hai hosh hamein kya karna hai
hath mein umr ka aadha hissa hota hai
begam shauhar ujDe ujDe lagte hain
aaKHir kis ne kis ko luTa hota hai
dil puna se mumbai tak bhi jae to
raste mein dilli kalkatta hota hai
warzish karta achchha khata pita hai
wo bhi ek din marne wala hota hai
marne ko hun raazi mere marne par
dekhun kis ka ullu sidha hota hai
jhuT se apni jaan bacha pata lekin
diwana aaKHir diwana hota hai
awwal awwal ka sidha-sada rishta
aaKHir aaKHir mein pechida hota hai
ek KHuda hai ek KHuda bas ek KHuda
yani wo bhi tanha tanha hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.