mujhko yaron ne mar Dala hai
mujh ko yāroñ ne maar Daalā hai
rāz-dāroñ ne maar Daalā hai
un sahāroñ pe naaz thā kyā kyā
jin sahāroñ ne maar Daalā hai
kuchh to maarā ḳhizāñ-nasībī ne
kuchh bahāroñ ne maar Daalā hai
ham se kitne hī kaj-kulāhoñ ko
shahr-yāroñ ne maar Daalā hai
puḳhta-kārān-e-ilm-o-fan ko 'atīq'
ḳhām-kāroñ ne maar Daalā hai
mujh ko yaron ne mar Dala hai
raaz-daron ne mar Dala hai
un sahaaron pe naz tha kya kya
jin sahaaron ne mar Dala hai
kuchh to mara KHizan-nasibi ne
kuchh bahaaron ne mar Dala hai
hum se kitne hi kaj-kulahon ko
shahr-yaron ne mar Dala hai
puKHta-karan-e-ilm-o-fan ko 'atiq'
KHam-karon ne mar Dala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.