Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko ye chheD ki tum se bhi hasin hote hain

Safdar Mirzapuri

mujhko ye chheD ki tum se bhi hasin hote hain

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    mujh ko ye chheḌ ki tum se bhī hasīñ hote haiñ

    un ko ye zid ki dikhā do jo kahīñ hote haiñ

    un ko ham se hai ta.alluq na hameñ un se ġharaz

    ab yahīñ hote haiñ shikve na vahīñ hote haiñ

    un se bach jaa.e jo īmāñ to ġhanīmat samjho

    ḳhush nigāhoñ meñ bahut rahzan-e-dīñ hote haiñ

    laakh vo naaz se Thukrā.eñ adū turbat

    ye ajab baat hai pāmāl hamīñ hote haiñ

    ab tasavvur meñ bhī tasdīq aatā hai maza

    jab gumāñ miTte haiñ vallāh yaqīñ hote haiñ

    bāteñ pyārī haiñ hasīnoñ adā.eñ pyārī

    aib ye hai ki vafādār nahīñ hote haiñ

    apne maiḳhāne ko jannat batāte haiñ javāb

    itne behosh ḳharābāt-nashīñ hote haiñ

    ik faqat naam honā hai jahāñ meñ un

    na makāñ hote haiñ 'safdar' na makīñ hote haiñ

    mujh ko ye chheD ki tum se bhi hasin hote hain

    un ko ye zid ki dikha do jo kahin hote hain

    un ko hum se hai talluq na hamein un se gharaz

    ab yahin hote hain shikwe na wahin hote hain

    un se bach jae jo iman to ghanimat samjho

    KHush nigahon mein bahut rahzan-e-din hote hain

    lakh wo naz se Thukraen adu ki turbat

    ye ajab baat hai pamal hamin hote hain

    ab tasawwur mein bhi tasdiq ka aata hai maza

    jab guman miTte hain wallah yaqin hote hain

    baaten pyari hain hasinon ki adaen pyari

    aib ye hai ki wafadar nahin hote hain

    apne maiKHane ko jannat ka batate hain jawab

    itne behosh KHarabaat-nashin hote hain

    ek faqat nam ka hona hai jahan mein un ka

    na makan hote hain 'safdar' na makin hote hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now