mujhko ye kya ho jata hai ghar ka tasawwur aate hi
mujh ko ye kyā ho jaatā hai ghar kā tasavvur aate hī
jaise ghar suunā suunā lagtā hai kisī ke jaate hī
apne jo qisse auroñ se sun sun kar ḳhush hote the
ham the apnī nazar meñ jhūTe ḳhud un ke dohrāte hī
vo jo bahut bharpūr the ḳhud meñ vo kyuuñ saath meñ chīḳh uThe
ham to ḳhud se ḳhaufzada the ham to shor machāte hī
saath tirā hāsil na rahā kab ham ko yaad nahīñ paḌtā
ya.anī rishta koī baaqī hai milne aa us naate hī
dhyān kise thā tere jī meñ aa.ī hai dard baTāne kī
varna saath tire kahne par ham kuchh duur to jaate hī
aaj jo tujh se baat huī to jaise ham vo haiñ hī nahīñ
itnā arsa biit gayā kyā tujh tak aate aate hī
tū ne kahā bhī ho jo kabhī kuchh tujh ko kyā ma.alūm ki maiñ
kitnā ḳhālī ho jaatā huuñ tujh ko dhyān meñ laate hī
shāyad koī ek hī aayā shāyad koī na aayā thā
ham na jo tum ko dekh sake the tum ko nazar to aate hī
bāhar andar talḳh añdherā kis ko DhūñDne nikle ho
jot jalā aate chaukhaT par kuchh to Dhāras paate hī
mujh ko ye kya ho jata hai ghar ka tasawwur aate hi
jaise ghar suna suna lagta hai kisi ke jate hi
apne jo qisse auron se sun sun kar KHush hote the
hum the apni nazar mein jhuTe KHud un ke dohraate hi
wo jo bahut bharpur the KHud mein wo kyun sath mein chiKH uThe
hum to KHud se KHaufzada the hum to shor machate hi
sath tera hasil na raha kab hum ko yaad nahin paDta
yani rishta koi baqi hai milne aa us nate hi
dhyan kise tha tere ji mein aai hai dard baTane ki
warna sath tere kahne par hum kuchh dur to jate hi
aaj jo tujh se baat hui to jaise hum wo hain hi nahin
itna arsa bit gaya kya tujh tak aate aate hi
tu ne kaha bhi ho jo kabhi kuchh tujh ko kya malum ki main
kitna KHali ho jata hun tujh ko dhyan mein late hi
shayad koi ek hi aaya shayad koi na aaya tha
hum na jo tum ko dekh sake the tum ko nazar to aate hi
bahar andar talKH andhera kis ko DhunDne nikle ho
jot jala aate chaukhaT par kuchh to Dhaaras pate hi
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 71)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.