mujhko ye waqt waqt ko main kho ke KHush hua
mujh ko ye vaqt vaqt ko maiñ kho ke ḳhush huā
kaaTī nahīñ vo fasl jise bo ke ḳhush huā
vo rañj thā ki rañj na karnā muhāl thā
āḳhir meñ ek shaam bahut ro ke ḳhush huā
sāhab vo bū ga.ī na vo nashsha havā huā
apne ta.iiñ maiñ jām-o-subū dho ke ḳhush huā
aisī ḳhushī ke ḳhvāb se jaagā ki aaj tak
ḳhush ho ke so sakā na kabhī so ke ḳhush huā
chhānī ik umr ḳhaak ḳhushī kī talāsh meñ
honā thā rizq-e-ḳhāk mujhe ho ke ḳhush huā
'ādil' mirā libās hī ham-rañg-e-dāġh thā
kār-e-rafū kiyā na kabhī dho ke ḳhush huā
mujh ko ye waqt waqt ko main kho ke KHush hua
kaTi nahin wo fasl jise bo ke KHush hua
wo ranj tha ki ranj na karna muhaal tha
aaKHir mein ek sham bahut ro ke KHush hua
sahab wo bu gai na wo nashsha hawa hua
apne tain main jam-o-subu dho ke KHush hua
aisi KHushi ke KHwab se jaga ki aaj tak
KHush ho ke so saka na kabhi so ke KHush hua
chhani ek umr KHak KHushi ki talash mein
hona tha rizq-e-KHak mujhe ho ke KHush hua
'adil' mera libas hi ham-rang-e-dagh tha
kar-e-rafu kiya na kabhi dho ke KHush hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.