mujhko yun mujhse mila de koi
mujh ko yuuñ mujh se milā de koī
maiñ sadā duuñ to sadā de koī
maiñ ne pūchhā to hai anjām-e-vafā
ab ye Dar hai na batā de koī
aarzū ye hai ki ḳhushbū apnī
merī sāñsoñ meñ basā de koī
us ke ruḳhsār-e-shafaq-gūñ kī chamak
mere hoñToñ pe sajā de koī
jo jafā pyaar se tū ne kī hai
us ko kyuuñ kar na bhalā de koī
ḳhūn-e-dil se jo likhā hai maiñ ne
kaash ashkoñ se miTā de koī
nazreñ phir us ko uThā bhī na sakeñ
ḳhud ko itnā na girā de koī
ishq meñ bāñdh ke paimān-e-vafā
mujh ko jiine kī duā de koī
samjheñ ham zahr-e-tamannā us ko
apnī āñkhoñ se pilā de koī
aas hī TuuT na jaa.e ḳhālid
jab davā de na duā de koī
mujh ko yun mujh se mila de koi
main sada dun to sada de koi
main ne puchha to hai anjam-e-wafa
ab ye Dar hai na bata de koi
aarzu ye hai ki KHushbu apni
meri sanson mein basa de koi
us ke ruKHsar-e-shafaq-gun ki chamak
mere honTon pe saja de koi
jo jafa pyar se tu ne ki hai
us ko kyun kar na bhala de koi
KHun-e-dil se jo likha hai main ne
kash ashkon se miTa de koi
nazren phir us ko uTha bhi na saken
KHud ko itna na gira de koi
ishq mein bandh ke paiman-e-wafa
mujh ko jine ki dua de koi
samjhen hum zahr-e-tamanna us ko
apni aankhon se pila de koi
aas hi TuT na jae KHalid
jab dawa de na dua de koi
- Book : Sitaron Mein Chamak Baqi Hai (Pg. 87)
- Author : Khalid Fatehpuri
- Publication : Khalid Fatehpuri (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.