mujhko zamana jitna bhi chahe bura kahe
mujh ko zamāna jitnā bhī chāhe burā kahe
lekin use na koī kabhī bevafā kahe
hai kyā ḳhatā hamārī batā dījiye zarā
phir dījiye sazā.eñ jo dil aap kā kahe
mujh ko qubūl ishq meñ har shart hai tirī
merī balā se phir jo koī sar-phirā kahe
insāniyat kā farz adā ho yahī bahut
insān huuñ na koī mujhe devtā kahe
vo shauq se uThā.e 'taqī' mujh pe uñgliyāñ
jis ko zamāna dekhte hī pārsā kahe
mujh ko zamana jitna bhi chahe bura kahe
lekin use na koi kabhi bewafa kahe
hai kya KHata hamari bata dijiye zara
phir dijiye sazaen jo dil aap ka kahe
mujh ko qubul ishq mein har shart hai teri
meri bala se phir jo koi sar-phira kahe
insaniyat ka farz ada ho yahi bahut
insan hun na koi mujhe dewta kahe
wo shauq se uThae 'taqi' mujh pe ungliyan
jis ko zamana dekhte hi parsa kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.