mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka
mujh meñ ab nahīñ baaqī hausla bichhaḌne kā
multajī huuñ denā mat indiya bichhaḌne kā
is se baḌh ke kyā hotā zindagī ke dāman meñ
ek ġham hai hone kā dūsrā bichhaḌne kā
pyaar aur tavaqqo.a ke silsile na baḌh jaa.eñ
is jagah munāsib hai sochnā bichhaḌne kā
aap kī suhūlat bas ham aziiz rakhte haiñ
maañg lo atā hogā rāsta bichhaḌne kā
har milan judā.ī kī avvalīn manzil hai
vasl hī se juḌtā hai silsila bichhaḌne kā
be-sukūn shāmoñ se be-yaqīn sub.hoñ tak
tai huā hai āḳhir har marhala bichhaḌne kā
bhāñp to ga.e the ham saath aarzī hai ye
jān-e-man magar phir bhī dukh huā bichhaḌne kā
mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka
multaji hun dena mat indiya bichhaDne ka
is se baDh ke kya hota zindagi ke daman mein
ek gham hai hone ka dusra bichhaDne ka
pyar aur tawaqqoa ke silsile na baDh jaen
is jagah munasib hai sochna bichhaDne ka
aap ki suhulat bas hum aziz rakhte hain
mang lo ata hoga rasta bichhaDne ka
har milan judai ki awwalin manzil hai
wasl hi se juDta hai silsila bichhaDne ka
be-sukun shamon se be-yaqin subhon tak
tai hua hai aaKHir har marhala bichhaDne ka
bhanp to gae the hum sath aarzi hai ye
jaan-e-man magar phir bhi dukh hua bichhaDne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.