mujh mein asar-e-jalwa-e-mastana hai us ka
mujh meñ asar-e-jalva-e-mastāna hai us kā
itnā to kaheñge koī dīvāna hai us kā
kyā shaan baḌhī hai sadaf-e-kaun-o-makāñ kī
nūr-e-madanī gauhar-e-yak-dāna hai us kā
us sham.a-e-tajallī pe jhukī jaatī haiñ āñkheñ
nazzāra jise kahte haiñ parvāna hai us kā
ham shor-e-qayāmat kī haqīqat se haiñ vāqif
jo niiñd uḌātā hai vo afsāna hai us kā
aaya hai idhar biich meñ nairang-e-tamāshā
dekho to udhar ka.aba o but-ḳhāna hai us kā
haañ rang-e-parīda ko yahāñ kahte haiñ sahbā
jo dil ki shikasta hai vo paimāna hai us kā
saaqī hai jahāñ maut vo hai bazm-e-mohabbat
khīñchtī hai jahāñ ruuh vo mai-ḳhāna hai us kā
mujh mein asar-e-jalwa-e-mastana hai us ka
itna to kahenge koi diwana hai us ka
kya shan baDhi hai sadaf-e-kaun-o-makan ki
nur-e-madani gauhar-e-yak-dana hai us ka
us shama-e-tajalli pe jhuki jati hain aankhen
nazzara jise kahte hain parwana hai us ka
hum shor-e-qayamat ki haqiqat se hain waqif
jo nind uData hai wo afsana hai us ka
aaya hai idhar bich mein nairang-e-tamasha
dekho to udhar kaba o but-KHana hai us ka
han rang-e-parida ko yahan kahte hain sahba
jo dil ki shikasta hai wo paimana hai us ka
saqi hai jahan maut wo hai bazm-e-mohabbat
khinchti hai jahan ruh wo mai-KHana hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.