mujh mein basne wale shaKHs ne mujh mein rahna chhoD diya
mujh meñ basne vaale shaḳhs ne mujh meñ rahnā chhoḌ diyā
us ne merī baat na maanī maiñ ne kahnā chhoḌ diyā
tum jaise marzī socho par log to sab kuchh jānte haiñ
kis ne kitnā saath nibhāyā kis ne kitnā chhoḌ diyā
is tārīkī meñ ab aur kisī par kyā ilzām dharūñ
mujh ko jab mere apne saa.e ne tanhā chhoḌ diyā
duniyā bhar kā mere aage ġham maujūd thā phir maiñ ne
achchhā achchhā dil meñ rakkhā aisā vaisā chhoḌ diyā
paanī dene vaalā jab kuchh roz meñ us ko bhuul gayā
āḳhir ik din paude ne gamle meñ rahnā chhoḌ diyā
mujh mein basne wale shaKHs ne mujh mein rahna chhoD diya
us ne meri baat na mani main ne kahna chhoD diya
tum jaise marzi socho par log to sab kuchh jaante hain
kis ne kitna sath nibhaya kis ne kitna chhoD diya
is tariki mein ab aur kisi par kya ilzam dharun
mujh ko jab mere apne sae ne tanha chhoD diya
duniya bhar ka mere aage gham maujud tha phir main ne
achchha achchha dil mein rakkha aisa waisa chhoD diya
pani dene wala jab kuchh roz mein us ko bhul gaya
aaKHir ek din paude ne gamle mein rahna chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.