mujh mein har tufan hai aks-e-nazar mein kuchh nahin
mujh meñ har tūfān hai aks-e-nazar meñ kuchh nahīñ
dil kī sozish dekhiye to chashm-e-tar meñ kuchh nahīñ
raat kā saarā samundar paar kar aa.ī magar
āgahī ke paas tā.īd-e-sahar meñ kuchh nahīñ
maiñ barāmad kartā aaya huuñ zamīn-o-āsmāñ
aaj kyā hai kaise zambīl-e-hunar meñ kuchh nahīñ
jis ne kī haiñ umr bhar bas zaat kī ġhavvāsiyāñ
vo to phir samjhegā ki rang-e-digar meñ kuchh nahīñ
ziist kā peñDā huā yā do qadam rasta huā
niiñd meñ chalte rahe ho to safar meñ kuchh nahīñ
chup kī chhāñv thaam kar jaltā rahe sūraj tale
jab parinde hī nahīñ to phir shajar meñ kuchh nahīñ
lauT jaao zindagānī ke haqā.eq kī taraf
in hikāyāt-e-tavīl-o-muḳhtasar meñ kuchh nahīñ
dekh lo āḳhir yahī laa.ī mujhe tā-ba-falak
log kahte the ki ab is rah-guzar meñ kuchh nahīñ
jaise dariyā ho kisī gahre samundar meñ 'zafar'
aaj us manzil pe pahuñchā huuñ jidhar maiñ kuchh nahīñ
mujh mein har tufan hai aks-e-nazar mein kuchh nahin
dil ki sozish dekhiye to chashm-e-tar mein kuchh nahin
raat ka sara samundar par kar aai magar
aagahi ke pas taid-e-sahar mein kuchh nahin
main baramad karta aaya hun zamin-o-asman
aaj kya hai kaise zambil-e-hunar mein kuchh nahin
jis ne ki hain umr bhar bas zat ki ghawwasiyan
wo to phir samjhega ki rang-e-digar mein kuchh nahin
zist ka penDa hua ya do qadam rasta hua
nind mein chalte rahe ho to safar mein kuchh nahin
chup ki chhanw tham kar jalta rahe suraj tale
jab parinde hi nahin to phir shajar mein kuchh nahin
lauT jao zindagani ke haqaeq ki taraf
in hikayat-e-tawil-o-muKHtasar mein kuchh nahin
dekh lo aaKHir yahi lai mujhe ta-ba-falak
log kahte the ki ab is rah-guzar mein kuchh nahin
jaise dariya ho kisi gahre samundar mein 'zafar'
aaj us manzil pe pahuncha hun jidhar main kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.