mujh mein jo azim-tar nasha tha
mujh meñ jo azīm-tar nasha thā
mere hī lahū kā zā.iqa thā
paḌh Daale the kuchh vafā ke qisse
sahrā meñ sahāb DhūñDhtā thā
manzil pas-e-naqsh-e-pā thī koī
paiġhām ġhubār pe likhā thā
ab tak vo hurūf jal rahe haiñ
āñkhoñ ko charāġh likh diyā thā
āñkhoñ ke charāġh gul na hote
gul lab pe magar jo khil gayā thā
mujh mein jo azim-tar nasha tha
mere hi lahu ka zaiqa tha
paDh Dale the kuchh wafa ke qisse
sahra mein sahab DhunDhta tha
manzil pas-e-naqsh-e-pa thi koi
paigham ghubar pe likha tha
ab tak wo huruf jal rahe hain
aankhon ko charagh likh diya tha
aankhon ke charagh gul na hote
gul lab pe magar jo khil gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.