mujh mein kitna zahr hai kauli bhar kar dekh
mujh mein kitna zahr hai kauli bhar kar dekh
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
mujh meñ kitnā zahr hai kaulī bhar kar dekh
marnā to lāzim hai aaj hī mar kar dekh
merī miTTī kab se qaid hai mujh meñ tū
ik din bāhar aa jā aur bikhar kar dekh
sola manzil kaun chaḌhe batlāne ko
nīche kyā hai apne aap utar kar dekh
roz Darātā rahtā hai tū logoñ ko
apne aap se ik din ḳhud bhī Dar kar dekh
mujh ko paḌhnā aatā hai maiñ paḌh lūñgā
mere dil par ban ke naqsh ubhar kar dekh
koī mushkil talḳh nahīñ hai piine meñ
har mushkil ko āsānī meñ bhar kar dekh
maiñ āñkhoñ ko ā.īna kar detā huuñ
un ke aage baiTh ke aaj sañvar kar dekh
mujh mein kitna zahr hai kauli bhar kar dekh
marna to lazim hai aaj hi mar kar dekh
meri miTTi kab se qaid hai mujh mein tu
ek din bahar aa ja aur bikhar kar dekh
sola manzil kaun chaDhe batlane ko
niche kya hai apne aap utar kar dekh
roz Daraata rahta hai tu logon ko
apne aap se ek din KHud bhi Dar kar dekh
mujh ko paDhna aata hai main paDh lunga
mere dil par ban ke naqsh ubhar kar dekh
koi mushkil talKH nahin hai pine mein
har mushkil ko aasani mein bhar kar dekh
main aankhon ko aaina kar deta hun
un ke aage baiTh ke aaj sanwar kar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.