mujh mein koi mujh jaisa ho aisa bhi ho sakta hai
mujh meñ koī mujh jaisā ho aisā bhī ho saktā hai
yā phir koī aur chhupā ho aisā bhī ho saktā hai
us ke haath meñ ġhubbāre the phir bhī bachcha gum-sum thā
vo ġhubbāre bech rahā ho aisā bhī ho saktā hai
ek risāla paḌhte paḌhte us kī āñkheñ bhar aa.iiñ
us meñ merā sher chhapā ho aisā bhī ho saktā hai
ambar bhī niilā niilā hai dariyā bhī niilā niilā
un donoñ ne zahr piyā ho aisā bhī ho saktā hai
sahrā meñ jab pyaas lagī to merī vahshat ne sochā
qais ne ḳhud kā ḳhuun piyā ho aisā bhī ho saktā hai
jis kī ḳhātir biich safar meñ us ne mujh ko chhoḌā thā
vo bhī us ko chhoḌ gayā ho aisā bhī ho saktā hai
mujh mein koi mujh jaisa ho aisa bhi ho sakta hai
ya phir koi aur chhupa ho aisa bhi ho sakta hai
us ke hath mein ghubbare the phir bhi bachcha gum-sum tha
wo ghubbare bech raha ho aisa bhi ho sakta hai
ek risala paDhte paDhte us ki aankhen bhar aain
us mein mera sher chhapa ho aisa bhi ho sakta hai
ambar bhi nila nila hai dariya bhi nila nila
un donon ne zahr piya ho aisa bhi ho sakta hai
sahra mein jab pyas lagi to meri wahshat ne socha
qais ne KHud ka KHun piya ho aisa bhi ho sakta hai
jis ki KHatir bich safar mein us ne mujh ko chhoDa tha
wo bhi us ko chhoD gaya ho aisa bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.