mujh mein kuchh phul kya khile tere
mujh meñ kuchh phuul kyā khile tere
log nārāz ho ga.e mujh se
phir batāte ki kaise chalnā hai
do qadam pahle saath to chalte
ye ḳhulāsa hai ek chaptar kā
tum kahānī meñ der se aa.e
is liye maiñ ne fāsla rakkhā
sab manāzir haiñ duur se achchhe
jān-levā hai ye adhūrā pan
aa ga.e the to Thiik se aate
ḳhud ko bīmār kar diyā mash.hūr
taaki vo mujh se rābta kar le
ho ke mab.hūt ho ga.e tasvīr
terī tasvīr dekhne vaale
mujh mein kuchh phul kya khile tere
log naraaz ho gae mujh se
phir batate ki kaise chalna hai
do qadam pahle sath to chalte
ye KHulasa hai ek chaptar ka
tum kahani mein der se aae
is liye main ne fasla rakkha
sab manazir hain dur se achchhe
jaan-lewa hai ye adhura pan
aa gae the to Thik se aate
KHud ko bimar kar diya mashhur
taki wo mujh se rabta kar le
ho ke mabhut ho gae taswir
teri taswir dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.