mujh mein se mere jubba-o-dastar nafi kar
mujh mein se mere jubba-o-dastar nafi kar
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
mujh meñ se mire jubba-o-dastār nafī kar
rah jā.ūñ agar baaqī to tashrīh mirī kar
sab ilm-o-hunar bhuul ke bachpan meñ chalā jā.ūñ
ai sāhab-e-sahar aisī koī jādūgarī kar
dīvāroñ se baTte haiñ ḳhirad-mandoñ ke ḳhitte
tū dasht-e-junūñ meñ na ye dīvār khaḌī kar
ik qāfila pyāsoñ kā guzarnā hai yahāñ se
ai dasht-e-balā apne sarāpā ko nirī kar
maiñ ghar meñ hī piitā huuñ magar yāroñ kī ḳhātir
ghar se tire maiḳhāne meñ aa jaatā huuñ pī kar
ik chaak garebāñ meñ hai ik chaak hai dil meñ
kyā hogā faqat chāk-e-garebān ko sī kar
jo zulm kī rah par haiñ unheñ raah se bhaTkā
achchhā bhī koī kaam tū ai tīra-shabī kar
gar kuchh bhī nahīñ paas to miTTī se hī bhar le
ai sāhab-e-ḳhairāt tū dāman na tahī kar
mujh mein se mere jubba-o-dastar nafi kar
rah jaun agar baqi to tashrih meri kar
sab ilm-o-hunar bhul ke bachpan mein chala jaun
ai sahab-e-sahar aisi koi jadugari kar
diwaron se baTte hain KHirad-mandon ke KHitte
tu dasht-e-junun mein na ye diwar khaDi kar
ek qafila pyason ka guzarna hai yahan se
ai dasht-e-bala apne sarapa ko niri kar
main ghar mein hi pita hun magar yaron ki KHatir
ghar se tere maiKHane mein aa jata hun pi kar
ek chaak gareban mein hai ek chaak hai dil mein
kya hoga faqat chaak-e-gareban ko si kar
jo zulm ki rah par hain unhen rah se bhaTka
achchha bhi koi kaam tu ai tira-shabi kar
gar kuchh bhi nahin pas to miTTi se hi bhar le
ai sahab-e-KHairaat tu daman na tahi kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.