mujh mein soe hue mahtab se kam waqif hai
mujh meñ so.e hue māhtāb se kam vāqif hai
tū mirī aañkh ke tālāb se kam vāqif hai
buġhz-e-a.adā ḳhū-e-ahbāb se kam vāqif hai
jo mire halqa-e-arbāb se kam vāqif hai
satvat-e-qasr-e-shahī dhoke meñ rakhtā hai ki jo
azmat-e-gumbad-o-mehrāb se kam vāqif hai
ishq kī chāhiye ta.alīm abhī aur use
jo mohabbat adab ādāb se kam vāqif hai
ziist karne ko bahut chashm-e-fusūñ-kār mujhe
vo mire ishq ke zartāb se kam vāqif hai
ma.anavī taur par us pe maiñ mukammal nā khulī
vo mirī zaat ke eraab se kam vāqif hai
tujh pe maiñ kholuñgī ik din sabhī aurāq-e-jamāl
tū abhī husn ke abvāb se kam vāqif hai
kyā banegā jo nā Tal paa.ī balā-e-furqat
hijr to vasl ke asbāb se kam vāqif hai
ek hī shaḳhs kā kartī hai adab dhaḌkan bhī
dil to duniyā tire ādāb se kam vāqif hai
itnā poshīda use rakkhā hai 'amabar' sab se
aañkh apnī bhī mire ḳhvāb se kam vāqif hai
mujh mein soe hue mahtab se kam waqif hai
tu meri aankh ke talab se kam waqif hai
bughz-e-ada KHu-e-ahbab se kam waqif hai
jo mere halqa-e-arbab se kam waqif hai
satwat-e-qasr-e-shahi dhoke mein rakhta hai ki jo
azmat-e-gumbad-o-mehrab se kam waqif hai
ishq ki chahiye talim abhi aur use
jo mohabbat adab aadab se kam waqif hai
zist karne ko bahut chashm-e-fusun-kar mujhe
wo mere ishq ke zartab se kam waqif hai
manawi taur par us pe main mukammal na khuli
wo meri zat ke erab se kam waqif hai
tujh pe main kholungi ek din sabhi auraq-e-jamal
tu abhi husn ke abwab se kam waqif hai
kya banega jo na Tal pai bala-e-furqat
hijr to wasl ke asbab se kam waqif hai
ek hi shaKHs ka karti hai adab dhaDkan bhi
dil to duniya tere aadab se kam waqif hai
itna poshida use rakkha hai 'amabar' sab se
aankh apni bhi mere KHwab se kam waqif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.