mujh mein thoDi jaan ab tak baqi hai
mujh meñ thoḌī jaan ab tak baaqī hai
dil meñ ik armān ab tak baaqī hai
duur kitnī jā chukī hai zindagī
kis liye sāmān ab tak baaqī hai
ho chukī hai ḳhālī jīvan kī sarā.e
āḳhirī mehmān ab tak baaqī hai
kho diyā jo paas thā par zinda huuñ
thoḌā sā sāmān ab tak baaqī hai
chand sāñseñ de dī hākim ne udhār
maut kā farmān ab tak baaqī hai
kaun jaane kab mileñgī manzileñ
rāsta anjān ab tak baaqī hai
mujh mein thoDi jaan ab tak baqi hai
dil mein ek arman ab tak baqi hai
dur kitni ja chuki hai zindagi
kis liye saman ab tak baqi hai
ho chuki hai KHali jiwan ki sarae
aaKHiri mehman ab tak baqi hai
kho diya jo pas tha par zinda hun
thoDa sa saman ab tak baqi hai
chand sansen de di hakim ne udhaar
maut ka farman ab tak baqi hai
kaun jaane kab milengi manzilen
rasta anjaan ab tak baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.