mujh mein to ek KHu-e-jafa aur ho gai
mujh mein to ek KHu-e-jafa aur ho gai
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
mujh meñ to ek ḳhū-e-jafā aur ho ga.ī
maiñ aur ho gayā na vafā aur ho ga.ī
gul kā kahīñ nishāñ hai na bulbul kā zikr hai
do roz meñ chaman kī havā aur ho ga.ī
aamad ko sun ke kholī thī bīmār-e-ġham ne aañkh
tum aa ga.e umīd-e-shifā aur ho ga.ī
bint-e-inab to rindoñ ko yūñhī mubāh thī
zāhid nazar paḌā to ravā aur ho ga.ī
shakl-e-qubūl ho ke phirī āsmān se
tāsīr ho ga.ī to duā aur ho ga.ī
yaad aa ga.ī jo ka.abe meñ abrū kī ai 'vahīd'
apnī namāz-e-ishq adā aur ho ga.ī
mujh mein to ek KHu-e-jafa aur ho gai
main aur ho gaya na wafa aur ho gai
gul ka kahin nishan hai na bulbul ka zikr hai
do roz mein chaman ki hawa aur ho gai
aamad ko sun ke kholi thi bimar-e-gham ne aankh
tum aa gae umid-e-shifa aur ho gai
bint-e-inab to rindon ko yunhi mubah thi
zahid nazar paDa to rawa aur ho gai
shakl-e-qubul ho ke phiri aasman se
tasir ho gai to dua aur ho gai
yaad aa gai jo kabe mein abru ki ai 'wahid'
apni namaz-e-ishq ada aur ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.