mujh mohabbat ke saza-war pe tohmat na laga
mujh mohabbat ke sazā-vār pe tohmat na lagā
mujh ko jhuTlā de magar pyaar pe tohmat na lagā
sust-rau shaḳhs mirā naqsh-e-qadam dhyān meñ rakh
mujh se aa mil mirī raftār pe tohmat na lagā
log bakte haiñ to bakte raheñ be-shak lekin
kam se kam tū mire kirdār pe tohmat na lagā
maiñ ne chhīnī nahīñ izzat se kamā.ī hai ye
merī izzat mirī dastār pe tohmat na lagā
dekh ik haath se bajtī nahīñ taalī 'abdul'
dar muqaffal hai to dīvār pe tohmat na lagā
mujh mohabbat ke saza-war pe tohmat na laga
mujh ko jhuTla de magar pyar pe tohmat na laga
sust-rau shaKHs mera naqsh-e-qadam dhyan mein rakh
mujh se aa mil meri raftar pe tohmat na laga
log bakte hain to bakte rahen be-shak lekin
kam se kam tu mere kirdar pe tohmat na laga
main ne chhini nahin izzat se kamai hai ye
meri izzat meri dastar pe tohmat na laga
dekh ek hath se bajti nahin tali 'abdul'
dar muqaffal hai to diwar pe tohmat na laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.