mujh nikamme ki jo bhi izzat hai
mujh nikamme kī jo bhī izzat hai
āl-e-athār kī badaulat hai
ek chehra ḳhudā kā chehra hai
vo jise dekhnā ibādat hai
chaudah sadiyāñ guzar ga.ī ab tak
karbalā diin kī zarūrat hai
zaḳhm zanjīr ashk aur mātam
dard meñ vajd kī suhūlat hai
hausla rakh zamīn-e-karb-o-balā
tujh pe ab āḳhirī shahādat hai
mujh nikamme ki jo bhi izzat hai
aal-e-athaar ki badaulat hai
ek chehra KHuda ka chehra hai
wo jise dekhna ibaadat hai
chaudah sadiyan guzar gai ab tak
karbala din ki zarurat hai
zaKHm zanjir ashk aur matam
dard mein wajd ki suhulat hai
hausla rakh zamin-e-karb-o-bala
tujh pe ab aaKHiri shahadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.