mujh par inayaten hain kai sahiban ki
mujh par ināyateñ haiñ ka.ī sāhibān kī
kuchh haiñ zamīn vāloñ kī kuchh āsmān kī
apne safar kā tanhā musāfir nahīñ huuñ maiñ
izzat juḌī hai mujh se mire ḳhāndān kī
vo mujh ko aazmā ke kaḌī dhuup meñ rahā
mujh ko ḳhizāñ bahār lagī imtihān kī
'ḳhusrav-amīr' kī yā barahman kī ho ġhazal
muhtāj kab rahī hai kisī bhī zabān kī
hindī kī apnī shaan hai urdu kī apnī shaan
donoñ hī ān-bān haiñ hindostān kī
mujh par inayaten hain kai sahiban ki
kuchh hain zamin walon ki kuchh aasman ki
apne safar ka tanha musafir nahin hun main
izzat juDi hai mujh se mere KHandan ki
wo mujh ko aazma ke kaDi dhup mein raha
mujh ko KHizan bahaar lagi imtihan ki
'KHusraw-amir' ki ya barahman ki ho ghazal
muhtaj kab rahi hai kisi bhi zaban ki
hindi ki apni shan hai urdu ki apni shan
donon hi aan-ban hain hindostan ki
- Book : Main Ashok Hoon Main Mizaj Bhee (Pg. 31)
- Author : Ashok Mizaj Badr
- Publication : Shere Acadami, Bhopal (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.