Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se

Zahiir Ahmad Taaj

mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se

Zahiir Ahmad Taaj

MORE BYZahiir Ahmad Taaj

    mujh par surūr chhā gayā bāda-e-dil-navāz se

    duniyā mirī badal ga.ī ek nigāh-e-nāz se

    aañkh meñ gar na aa sake dil to maqām hai tirā

    ḳhalvat-e-dil meñ aa kabhī apne harīm-e-nāz se

    sāqī-e-mehrbāñ pilā bāda-e-mā'rifat-asar

    mast banā ke de ḳhabar husn-e-azal ke raaz se

    dekh nigāh-e-shauq se husn-o-jamāl jahāñ

    jalva jalva chār-sū husn-e-nazar-navāz se

    jam-e-farañg nasha fikr-o-nazar marg hai

    dil bhalā na ho sakā bāda-e-ḳhūñ-tarāz se

    mujh ko fareb de gayā tujh ko fareb de gayā

    zahr pilā gayā farañg jām-e-zamāna-sāz se

    qalb-o-jigar bhaḌak uThe bāda-e-nau aag se

    dil ko sakūñ milā hameñ 'tāj' mai-e-hijāz se

    mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se

    duniya meri badal gai ek nigah-e-naz se

    aankh mein gar na aa sake dil to maqam hai tera

    KHalwat-e-dil mein aa kabhi apne harim-e-naz se

    saqi-e-mehrban pila baada-e-ma'rifat-asar

    mast bana ke de KHabar husn-e-azal ke raaz se

    dekh nigah-e-shauq se husn-o-jamal ka jahan

    jalwa hi jalwa chaar-su husn-e-nazar-nawaz se

    jam-e-farang ka nasha fikr-o-nazar ki marg hai

    dil ka bhala na ho saka baada-e-KHun-taraaz se

    mujh ko fareb de gaya tujh ko fareb de gaya

    zahr pila gaya farang jam-e-zamana-saz se

    qalb-o-jigar bhaDak uThe baada-e-nau ki aag se

    dil ko sakun mila hamein 'taj' mai-e-hijaz se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now