mujh pe Dhana hai sitam Dhao tumhaari marzi
mujh pe Dhānā hai sitam Dhaao tumhārī marzī
tum ko jaanā hai chalī jaao tumhārī marzī
karam-o-lutf-o-mohabbat ke ye bādal jānāñ
mujh pe barsāo na barsāo tumhārī marzī
ab vo jalve vo adā.eñ vo tabassum vo hayā
mujh ko dikhlāo na dikhlāo tumhārī marzī
apnī is nik.hat-e-gul se ai sanam shām-o-sahar
jis ko mahkānā hai mahkāo tumhārī marzī
mujh pe Dhana hai sitam Dhao tumhaari marzi
tum ko jaana hai chali jao tumhaari marzi
karam-o-lutf-o-mohabbat ke ye baadal jaanan
mujh pe barsao na barsao tumhaari marzi
ab wo jalwe wo adaen wo tabassum wo haya
mujh ko dikhlao na dikhlao tumhaari marzi
apni is nikhat-e-gul se ai sanam sham-o-sahar
jis ko mahkana hai mahkao tumhaari marzi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.