mujh pe ilzam lagate ho lagae jao
mujh pe ilzām lagāte ho lagā.e jaao
ḳhūn-e-dil apnā jalāte ho jalā.e jaao
hijr kī shab koī āsān nahīñ hotī hai
ashk tum apne bahāte ho bahā.e jaao
ishq-e-kāmil kī zamānat tumheñ maiñ detā huuñ
ye mirā sher jo tum gaate ho gaa.e jaao
qais ke dasht meñ laate ho savārī apnī
ya.anī yuuñ dhuum machāte ho machā.e jaao
jhiil ke paanī meñ do sho.ala-numā hoñT ġhazab
haa.e kyā aag lagāte ho lagā.e jaao
mere ash.ār jo samjhe na vo mujh ko samjhe
yaar tum ḳhud ko thakāte ho thakā.e jaao
ham ne sozish pe mohabbat kī binā rakhī hai
tum agar taaj banāte ho banā.e jaao
'dānish' asrī kā to maslak hai faqat dasht kī ḳhaak
tum agar ghar se nibhāte ho nibhā.e jaao
mujh pe ilzam lagate ho lagae jao
KHun-e-dil apna jalate ho jalae jao
hijr ki shab koi aasan nahin hoti hai
ashk tum apne bahate ho bahae jao
ishq-e-kaamil ki zamanat tumhein main deta hun
ye mera sher jo tum gate ho gae jao
qais ke dasht mein late ho sawari apni
yani yun dhum machate ho machae jao
jhil ke pani mein do shoala-numa honT ghazab
hae kya aag lagate ho lagae jao
mere ashaar jo samjhe na wo mujh ko samjhe
yar tum KHud ko thakate ho thakae jao
hum ne sozish pe mohabbat ki bina rakhi hai
tum agar taj banate ho banae jao
'danish' asri ka to maslak hai faqat dasht ki KHak
tum agar ghar se nibhate ho nibhae jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.