mujh pe ilzam lagate kyon ho
mujh pe ilzām lagāte kyoñ ho
baat pe baat banāte kyoñ ho
zaḳhm pichhle na bhare ab tak phir
ik na.ī choT lagāte kyoñ ho
merī har baat dabā kar bolo
sirf apnī hī chalāte kyoñ ho
machhliyoñ par bhī taras khaao kuchh
aag paanī meñ lagāte kyoñ ho
sur ke māthe pe pasīna aayā
be-surā saaz bajāte kyoñ ho
bach ke tūfāñ se chale aa.e haiñ
lā ke sāhil pe Dubāte kyoñ ho
nafratoñ ke ye liye tāj-mahal
jhuuT ke ashk bahāte kyoñ ho
mujh pe ilzam lagate kyon ho
baat pe baat banate kyon ho
zaKHm pichhle na bhare ab tak phir
ek nai choT lagate kyon ho
meri har baat daba kar bolo
sirf apni hi chalate kyon ho
machhliyon par bhi taras khao kuchh
aag pani mein lagate kyon ho
sur ke mathe pe pasina aaya
be-sura saz bajate kyon ho
bach ke tufan se chale aae hain
la ke sahil pe Dubaate kyon ho
nafraton ke ye liye taj-mahal
jhuT ke ashk bahate kyon ho
- Book : مٹھی بھر چاندنی (Pg. 56)
- Author : ریکھا راج ونشی
- Publication : 20دوسری منزل پٹ پڑ گنج گاؤں،نئی دہلی۔110091 (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.