mujh pe jitna jamal hai bhai
mujh pe jitnā jamāl hai bhaa.ī
vahshatoñ kā kamāl hai bhaa.ī
ishq kī jang par ravāna huuñ
merā bachnā muhāl hai bhaa.ī
is se dāman bachā ke rakh apnā
ye jo duniyā kā jaal hai bhaa.ī
hijr jhelā ho jis ne barsoñ kā
koī maa.ī kā laal hai bhaa.ī
aarzī hai hañsī mire lab pe
kaun dil se nihāl hai bhaa.ī
maiñ hī tere binā udaas nahīñ
puurā lashkar niDhāl hai bhaa.ī
mujh pe jitna jamal hai bhai
wahshaton ka kamal hai bhai
ishq ki jang par rawana hun
mera bachna muhaal hai bhai
is se daman bacha ke rakh apna
ye jo duniya ka jal hai bhai
hijr jhela ho jis ne barson ka
koi mai ka lal hai bhai
aarzi hai hansi mere lab pe
kaun dil se nihaal hai bhai
main hi tere bina udas nahin
pura lashkar niDhaal hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.