mujh pe kaisa ye muqaddar ka karam hai dekho

mujh pe kaisa ye muqaddar ka karam hai dekho
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
mujh pe kaisā ye muqaddar kā karam hai dekho
sub.h-e-ummīd bhī ab shām-e-alam hai dekho
raah kā ḳhauf na andesha-e-gumrāhī hai
rahnumā naqsh-e-kaf-e-pā-e-sanam hai dekho
vo mirā haal jo pūchheñ to batānā un se
dard pahlū meñ ziyāda hai na kam hai dekho
kahīñ aisā to nahīñ ham unheñ yaad aate haiñ
dil bhī hairān hai aur aañkh bhī nam hai dekho
jab se us dar pe jhukā.ī hai jabīñ ham ne 'adīb'
ḳhvāhish-e-dair na armān-e-haram hai dekho
mujh pe kaisa ye muqaddar ka karam hai dekho
subh-e-ummid bhi ab sham-e-alam hai dekho
rah ka KHauf na andesha-e-gumrahi hai
rahnuma naqsh-e-kaf-e-pa-e-sanam hai dekho
wo mera haal jo puchhen to batana un se
dard pahlu mein ziyaada hai na kam hai dekho
kahin aisa to nahin hum unhen yaad aate hain
dil bhi hairan hai aur aankh bhi nam hai dekho
jab se us dar pe jhukai hai jabin hum ne 'adib'
KHwahish-e-dair na arman-e-haram hai dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.