mujh pe koi mehrban hai aaj-kal
mujh pe koī mehrbāñ hai āj-kal
ab sukūn-e-dil kahāñ hai āj-kal
dil meñ koī mehmāñ hai āj-kal
aarzū phir se javāñ hai āj-kal
baat aglī sī kahāñ hai āj-kal
ab takalluf darmiyāñ hai āj-kal
tum nahīñ to lutf-e-aish-e-zīst kyā
zindagī bār-e-garāñ hai āj-kal
jo nazar thī dāvat-e-lutf-o-vafā
jaane kyoñ tīr-o-kamāñ hai aaj kal
āñsuoñ ko zabt kar bhī luuñ magar
dil to majbūr-e-fuġhāñ hai āj-kal
jis jagah sajde kiye the ishq ne
husn nam-dīda vahāñ hai āj-kal
iltifāt-e-husn-o-kaif-e-vasl-e-dost
ek bhūlī dāstāñ hai āj-kal
barq-o-bārāñ sab isī ke vāste
kyā yahī ik āshiyāñ hai āj-kal
hai farishtoñ kā pahuñchnā bhī muhāl
ik dil-e-nādāñ jahāñ hai āj-kal
rāz-e-dil maiñ ne chhupāyā bhī magar
un kī nazroñ se ayaañ hai āj-kal
kar leñ ab ahl-e-chaman ḳhud intizām
mushkiloñ meñ bāġhbāñ hai āj-kal
ik dil-e-pur-soz-e-'mauj' aur bahr-e-ishq
aag paanī meñ ravāñ hai āj-kal
mujh pe koi mehrban hai aaj-kal
ab sukun-e-dil kahan hai aaj-kal
dil mein koi mehman hai aaj-kal
aarzu phir se jawan hai aaj-kal
baat agli si kahan hai aaj-kal
ab takalluf darmiyan hai aaj-kal
tum nahin to lutf-e-aish-e-zist kya
zindagi bar-e-garan hai aaj-kal
jo nazar thi dawat-e-lutf-o-wafa
jaane kyon tir-o-kaman hai aaj kal
aansuon ko zabt kar bhi lun magar
dil to majbur-e-fughan hai aaj-kal
jis jagah sajde kiye the ishq ne
husn nam-dida wahan hai aaj-kal
iltifat-e-husn-o-kaif-e-wasl-e-dost
ek bhuli dastan hai aaj-kal
barq-o-baran sab isi ke waste
kya yahi ek aashiyan hai aaj-kal
hai farishton ka pahunchna bhi muhaal
ek dil-e-nadan jahan hai aaj-kal
raaz-e-dil main ne chhupaya bhi magar
un ki nazron se ayan hai aaj-kal
kar len ab ahl-e-chaman KHud intizam
mushkilon mein baghban hai aaj-kal
ek dil-e-pur-soz-e-'mauj' aur bahr-e-ishq
aag pani mein rawan hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.