mujh pe rahmat ka dar khula rakhna
mujh pe rahmat kā dar khulā rakhnā
apnī chashm-e-karam sadā rakhnā
dil ke āñgan meñ koī rahtā hai
sāmne us ke aa.ina rakhnā
ye jo chehre badal ke milte haiñ
in se dāman zarā bachā rakhnā
apne ash.ār to sunā lekin
kuchh kisī ke liye bachā rakhnā
bandagī ke liye zarūrī hai
un kī chaukhaT pe sar jhukā rakhnā
dil jalegā to raushnī hogī
zulmatoñ meñ diyā jalā rakhnā
raah meñ rāhzan mileñge 'nasīm'
rāsta un se tum judā rakhnā
mujh pe rahmat ka dar khula rakhna
apni chashm-e-karam sada rakhna
dil ke aangan mein koi rahta hai
samne us ke aaina rakhna
ye jo chehre badal ke milte hain
in se daman zara bacha rakhna
apne ashaar to suna lekin
kuchh kisi ke liye bacha rakhna
bandagi ke liye zaruri hai
un ki chaukhaT pe sar jhuka rakhna
dil jalega to raushni hogi
zulmaton mein diya jala rakhna
rah mein rahzan milenge 'nasim'
rasta un se tum juda rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.