mujh pe tohmat laga rahe hain log
mujh pe tohmat lagā rahe haiñ log
jaane kyoñ dil dukhā rahe haiñ log
ġham-zada dekh kar mirī sūrat
ik fasāna banā rahe haiñ log
kaise pahuñchūñ maiñ apnī manzil tak
rāste se haTā rahe haiñ log
kis ne mujh ko banāyā dīvāna
ye jo patthar uThā rahe haiñ log
ye jo sargoshiyāñ haiñ kānoñ meñ
baat koī chhupā rahe haiñ log
jis tarah maiñ koī tamāsha huuñ
us tarah muskurā rahe haiñ log
kuchh bhī 'sā.ir' samajh nahīñ aatā
jaane kyā kyā sunā rahe haiñ log
mujh pe tohmat laga rahe hain log
jaane kyon dil dukha rahe hain log
gham-zada dekh kar meri surat
ek fasana bana rahe hain log
kaise pahunchun main apni manzil tak
raste se haTa rahe hain log
kis ne mujh ko banaya diwana
ye jo patthar uTha rahe hain log
ye jo sargoshiyan hain kanon mein
baat koi chhupa rahe hain log
jis tarah main koi tamasha hun
us tarah muskura rahe hain log
kuchh bhi 'sair' samajh nahin aata
jaane kya kya suna rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.