mujh pe wo kuchh is qadar chhata raha
mujh pe vo kuchh is qadar chhātā rahā
apne miT jaane kā ġham jaatā rahā
guftugū shab-bhar rahī hai chāñd se
rāt-bhar mujh ko vo yaad aatā rahā
dil ke kahne meñ sadā bhaTkā kiye
koī jugnū raah dikhlātā rahā
'ishq meñ vo aaj ḳhud barbād hai
'umr-bhar jo mujh ko samjhātā rahā
dil kī tanhā.ī sivā hotī rahī
jis qadar vo nāchtā gaatā rahā
merī zulfoñ meñ vo uljhā is qadar
vasl kī shab un ko suljhātā rahā
barf kā TukḌā nahīñ thā sang thā
koī nādāñ us ko pighlātā rahā
mujh pe wo kuchh is qadar chhata raha
apne miT jaane ka gham jata raha
guftugu shab-bhar rahi hai chand se
raat-bhar mujh ko wo yaad aata raha
dil ke kahne mein sada bhaTka kiye
koi jugnu rah dikhlata raha
'ishq mein wo aaj KHud barbaad hai
'umr-bhar jo mujh ko samjhata raha
dil ki tanhai siwa hoti rahi
jis qadar wo nachta gata raha
meri zulfon mein wo uljha is qadar
wasl ki shab un ko suljhata raha
barf ka TukDa nahin tha sang tha
koi nadan us ko pighlata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.