mujh sa diwana nikal paDta hai chal paDta hai
mujh sā dīvāna nikal paḌtā hai chal paḌtā hai
koī tūfāñ ho kahāñ koī ḳhalal paḌtā hai
chand miTTī ke diye aise jalā.e maiñ ne
jin se mahtāb kī peshānī pe bal paḌtā hai
zindagī tere musāfir ko hai itnī sī ḳhabar
rāste meñ kahīñ sahrā-e-ajal paḌtā hai
aaj maiñ rāh-e-mohabbat meñ vahāñ pahuñchā huuñ
kuchh masāfat pe jahāñ tāj-mahal paḌtā hai
zehn ke charḳh pe yādeñ haiñ sitāroñ kī tarah
ye na chamkeñ to kahāñ ruuh ko kal paḌtā hai
mujh sa diwana nikal paDta hai chal paDta hai
koi tufan ho kahan koi KHalal paDta hai
chand miTTi ke diye aise jalae main ne
jin se mahtab ki peshani pe bal paDta hai
zindagi tere musafir ko hai itni si KHabar
raste mein kahin sahra-e-ajal paDta hai
aaj main rah-e-mohabbat mein wahan pahuncha hun
kuchh masafat pe jahan taj-mahal paDta hai
zehn ke charKH pe yaaden hain sitaron ki tarah
ye na chamken to kahan ruh ko kal paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.