mujhse aankhen laDa raha hai koi
mujh se āñkheñ laḌā rahā hai koī
mere dil meñ samā rahā hai koī
hai tirī tarah roz rāhoñ meñ
mujh se tujh ko chhuḌā rahā hai koī
phir hue haiñ qadam ye man man ke
paas apne bulā rahā hai koī
niklūñ har raah se usī kī taraf
rāste vo batā rahā hai koī
kyā nikal jā.ūñ ahd-e-māzī se
yaad bachpan dilā rahā hai koī
phir se ulfat nahīñ hai āsāñ kuchh
bhūle naġhme sunā rahā hai koī
dhaḌkaneñ tez hotī jaatī haiñ
mere nazdīk aa rahā hai koī
vo jo kahtā hai bhuul jā.ūñ ḳhalish
vaqt us par kaḌā rahā hai koī
mujh se aankhen laDa raha hai koi
mere dil mein sama raha hai koi
hai teri tarah roz rahon mein
mujh se tujh ko chhuDa raha hai koi
phir hue hain qadam ye man man ke
pas apne bula raha hai koi
niklun har rah se usi ki taraf
raste wo bata raha hai koi
kya nikal jaun ahd-e-mazi se
yaad bachpan dila raha hai koi
phir se ulfat nahin hai aasan kuchh
bhule naghme suna raha hai koi
dhaDkanen tez hoti jati hain
mere nazdik aa raha hai koi
wo jo kahta hai bhul jaun KHalish
waqt us par kaDa raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.