mujhse ab saf bhi ho ja yunhi yar aap se aap
mujh se ab saaf bhī ho jā yūñhī yaar aap se aap
jis tarah hai tirī ḳhātir meñ ġhubār aap se aap
kab kahā ātish-e-furqat se jalāyā tū ne
haiñ mire nāla-e-dil sā.iqa-bār aap se aap
ḳhaar tadbīr hai pesh-e-gul-e-taqdīr 'abas
vaqt par baaġh meñ aatī hai bahār aap se aap
donoñ 'ālam meñ agar ek nahīñ sho.abada-bāz
jam' kyuuñ kar hue azdād ye chaar aap se aap
nahīñ aatā jo vo ḳhurshīd mire ghar meñ na aa.e
sub.h ho jā.egī āḳhir shab-e-tār aap se aap
kuchh shikāyat nahīñ ishq-e-kamar-e-nāzuk kī
ho gayā huuñ maiñ sanam zār-o-nazār aap se aap
o vajūd-e-chaman-ārā-e-azal ke munkir
ḳhud-baḳhud gul hue maujūd na ḳhaar aap se aap
surḳh poshāk pahan kar vo sahī qad jo gayā
jal uThe sarv-e-chaman misl-e-chinār aap se aap
zulf ko chhū ke paḌā hai jo balā meñ ai dil
kaaT khātā hai kisī ko koī maar aap se aap
kuchh tirī teġh-e-jafā kī nahīñ taqsīr ai gul
sūrat-e-ġhuncha mirā dil hai figār aap se aap
ġhair kā muñh hai ki le bose tire o zālim
nīlgūñ ho ga.e hoñge ye ezaar aap se aap
nāla-kash misl-e-jaras kyuuñ hai 'abas ai majnūñ
sabr kar aa.egī jammāza-savār aap se aap
mujh se ab saf bhi ho ja yunhi yar aap se aap
jis tarah hai teri KHatir mein ghubar aap se aap
kab kaha aatish-e-furqat se jalaya tu ne
hain mere nala-e-dil saiqa-bar aap se aap
KHar tadbir hai pesh-e-gul-e-taqdir 'abas
waqt par bagh mein aati hai bahaar aap se aap
donon 'alam mein agar ek nahin shoabada-baz
jam' kyun kar hue azdad ye chaar aap se aap
nahin aata jo wo KHurshid mere ghar mein na aae
subh ho jaegi aaKHir shab-e-tar aap se aap
kuchh shikayat nahin ishq-e-kamar-e-nazuk ki
ho gaya hun main sanam zar-o-nazar aap se aap
o wajud-e-chaman-ara-e-azal ke munkir
KHud-baKHud gul hue maujud na KHar aap se aap
surKH poshak pahan kar wo sahi qad jo gaya
jal uThe sarw-e-chaman misl-e-chinar aap se aap
zulf ko chhu ke paDa hai jo bala mein ai dil
kaT khata hai kisi ko koi mar aap se aap
kuchh teri tegh-e-jafa ki nahin taqsir ai gul
surat-e-ghuncha mera dil hai figar aap se aap
ghair ka munh hai ki le bose tere o zalim
nilgun ho gae honge ye ezar aap se aap
nala-kash misl-e-jaras kyun hai 'abas ai majnun
sabr kar aaegi jammaza-sawar aap se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.