mujh se afsurda na ai josh-e-bahārāñ honā
kaif meñ bhuul gayā chāk-garebāñ honā
jab bikhar jaatī hai zulf aur nikhar jaatī hai
mujh ko jam.īyat-e-ḳhātir hai pareshāñ honā
zarra zarra hai tajallī se laḌā.e hue aañkh
kis qayāmat kī numā.ish hai ye pinhāñ honā
duur haiñ tujh se abhī nuur ke zarre har-sū
ai mirī ḳhaak zarā aur pareshāñ honā
hasrat-e-dīd ne ā.īna banāyā dil ko
ain nazzāra hai nazzāre kā armāñ honā
husn har shai ko diyā ishq milā har dil ko
taaki āsān ho insān kā insāñ honā
ḳhuub hotā hai numāyāñ suḳhan-e-'nātiq' se
misl-e-ma.anī tirā har lafz meñ pinhāñ honā
mujh se afsurda na ai josh-e-bahaaran hona
kaif mein bhul gaya chaak-gareban hona
jab bikhar jati hai zulf aur nikhar jati hai
mujh ko jamiyat-e-KHatir hai pareshan hona
zarra zarra hai tajalli se laDae hue aankh
kis qayamat ki numaish hai ye pinhan hona
dur hain tujh se abhi nur ke zarre har-su
ai meri KHak zara aur pareshan hona
hasrat-e-did ne aaina banaya dil ko
ain nazzara hai nazzare ka arman hona
husn har shai ko diya ishq mila har dil ko
taki aasan ho insan ka insan hona
KHub hota hai numayan suKHan-e-'natiq' se
misl-e-mani tera har lafz mein pinhan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.