mujhse be-zaro na yun sang se maro mujhko
mujh se be-zāro na yuuñ sañg se maaro mujh ko
is se behtar hai ki patthar hī banā do mujh ko
kyā vahī huuñ maiñ abhī jis kī talab thī tum ko
mujh ko DhūñDo mire pahchānñe vaalo mujh ko
vaqt tezāb kī mānind jhulas de na kahīñ
apne ḳhākistar-e-māzī meñ dabā do mujh ko
mujh se shāmil haiñ ka.ī ḳhvāb-guzīñ sannāTe
aur nazdīk zarā aa ke sadā do mujh ko
fāsle kab kisī insān ko raas aa.e haiñ
tum jo bichhḌe ho to kis tarah na ġham ho mujh ko
mujh se be-zaro na yun sang se maro mujh ko
is se behtar hai ki patthar hi bana do mujh ko
kya wahi hun main abhi jis ki talab thi tum ko
mujh ko DhunDo mere pahchanne walo mujh ko
waqt tezab ki manind jhulas de na kahin
apne KHakistar-e-mazi mein daba do mujh ko
mujh se shamil hain kai KHwab-guzin sannaTe
aur nazdik zara aa ke sada do mujh ko
fasle kab kisi insan ko ras aae hain
tum jo bichhDe ho to kis tarah na gham ho mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.