mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
mujh se bichhḌe ho to rah jāoge tanhā bhī nahīñ
maiñ tumheñ yaad nahīñ ā.ūñgā aisā bhī nahīñ
maiñ ne dāman bhī bachāyā to gunahgār huā
aur phir yuuñ huā ġharqāb ki ubhrā bhī nahīñ
vo tirā zabt-e-mohabbat ho ki duniyā kā nifāq
sab hī apne haiñ koī dard parāyā bhī nahīñ
qadr-dāñ chāhne vāloñ ke ajab hote haiñ
us ne pahchān liyā aur mujhe dekhā bhī nahīñ
maiñ use bhuul ke zinda bhī nahīñ rah saktā
aur mirā ahd mujhe pūchhne vaalā bhī nahīñ
mujh se bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
main tumhein yaad nahin aaunga aisa bhi nahin
main ne daman bhi bachaya to gunahgar hua
aur phir yun hua gharqab ki ubhra bhi nahin
wo tera zabt-e-mohabbat ho ki duniya ka nifaq
sab hi apne hain koi dard paraya bhi nahin
qadr-dan chahne walon ke ajab hote hain
us ne pahchan liya aur mujhe dekha bhi nahin
main use bhul ke zinda bhi nahin rah sakta
aur mera ahd mujhe puchhne wala bhi nahin
- Book : Be Sada Faryaad (Ghazals) (Pg. 75)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Fine Art Group Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.