mujhse bichhDi meri parchhai kise aawaz dun
mujhse bichhDi meri parchhai kise aawaz dun
Anjuman Mansury Arzoo
MORE BYAnjuman Mansury Arzoo
mujh se bichhḌī merī parchhā.ī kise āvāz duuñ
tū batā ai daur-e-tanhā.ī kise āvāz duuñ
jab mujhe sannāToñ ne bhī dī nahīñ koī sadā
tab mirī ḳhāmoshī chillā.ī kise āvāz duuñ
in añdheroñ ko batātī hai ye duniyā raushnī
aise meñ ai chashm-e-bīnā.ī kise āvāz duuñ
ab ghaḌī hai faisle kī aur hai ye kashmakash
dil sunegā yā ki dānā.ī kise āvāz duuñ
zulm is darja baḌe haiñ dard bhī haiñ lā-davā
ḳhauf meñ hai ḳhud masīhā.ī kise āvāz duuñ
zindagī tere safar meñ roTiyoñ ke vāste
chhūTtā hai gaañv ābā.ī kise āvāz duuñ
is zavāl-e-anjuman meñ 'ārzū' tū hī batā
kis ko kah duuñ bazm-ārā.ī kise āvāz duuñ
mujh se bichhDi meri parchhai kise aawaz dun
tu bata ai daur-e-tanhai kise aawaz dun
jab mujhe sannaTon ne bhi di nahin koi sada
tab meri KHamoshi chillai kise aawaz dun
in andheron ko batati hai ye duniya raushni
aise mein ai chashm-e-binai kise aawaz dun
ab ghaDi hai faisle ki aur hai ye kashmakash
dil sunega ya ki danai kise aawaz dun
zulm is darja baDe hain dard bhi hain la-dawa
KHauf mein hai KHud masihai kise aawaz dun
zindagi tere safar mein roTiyon ke waste
chhuTta hai ganw aabai kise aawaz dun
is zawal-e-anjuman mein 'arzu' tu hi bata
kis ko kah dun bazm-arai kise aawaz dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.