mujhse diwane ki kya koi mohabbat samjhe
mujh se dīvāne kī kyā koī mohabbat samjhe
dekhnā yaar kā chehra jo ibādat samjhe
mujh meñ ab aur sakat baaqī nahīñ baTne kī
maiñ mayassar huuñ jise jitnā ġhanīmat samjhe
vo to yuuñ ham ne jahāñ chhoḌ diyā tere baa'd
ham tire baa'd yahāñ jiinā aziyyat samjhe
tum ne kyā kyā na kiyā ḳhauf se aarī ho kar
ham hī pāgal the jo duniyā ko adālat samjhe
saarī mushkil meñ guzārī to suhūlat samjhe
tum suhūlat se suhūlat ko suhūlat samjhe
jo uḌānoñ kī thakan dekh ke aaya hī nahīñ
vo parinda bhī bhalā ḳhaak masāfat samjhe
ham ne inkār meñ iqrār ke pahlū DhūñDe
chhup ke milne ko bhī qudrat kī ijāzat samjhe
mujh se diwane ki kya koi mohabbat samjhe
dekhna yar ka chehra jo ibaadat samjhe
mujh mein ab aur sakat baqi nahin baTne ki
main mayassar hun jise jitna ghanimat samjhe
wo to yun hum ne jahan chhoD diya tere ba'd
hum tere ba'd yahan jina aziyyat samjhe
tum ne kya kya na kiya KHauf se aari ho kar
hum hi pagal the jo duniya ko adalat samjhe
sari mushkil mein guzari to suhulat samjhe
tum suhulat se suhulat ko suhulat samjhe
jo uDanon ki thakan dekh ke aaya hi nahin
wo parinda bhi bhala KHak masafat samjhe
hum ne inkar mein iqrar ke pahlu DhunDe
chhup ke milne ko bhi qudrat ki ijazat samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.