mujhse hai teri zat kabhi KHatm na hogi
mujh se hai terī zaat kabhī ḳhatm na hogī
merī jo hai auqāt kabhī ḳhatm na hogī
mil jaa.eñ kisī moḌ pe ik roz jo ham tum
phir pyaar kī sauġhāt kabhī ḳhatm na hogī
aa jaao ke ham raah tirī dekh rahe haiñ
aaoge to phir raat kabhī ḳhatm na hogī
va.ada ye karo mujh se mulāqāt ye terī
tā-umr mulāqāt kabhī ḳhatm na hogī
kahte the ki ham 'shāziya' tere haiñ tire haiñ
maazī kī vo ik baat kabhī ḳhatm na hogī
mujh se hai teri zat kabhi KHatm na hogi
meri jo hai auqat kabhi KHatm na hogi
mil jaen kisi moD pe ek roz jo hum tum
phir pyar ki saughat kabhi KHatm na hogi
aa jao ke hum rah teri dekh rahe hain
aaoge to phir raat kabhi KHatm na hogi
wada ye karo mujh se mulaqat ye teri
ta-umr mulaqat kabhi KHatm na hogi
kahte the ki hum 'shaziya' tere hain tere hain
mazi ki wo ek baat kabhi KHatm na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.