mujhse hi khoya hai yaqin shayad
mujh se hī khoyā hai yaqīñ shāyad
dekhūñ hogā yahīñ kahīñ shāyad
thak chukī haiñ udāsiyāñ mujh se
dastakeñ aur deñ kahīñ shāyad
kyā kabhī bevafā vo niklegā
dil ne jhaT se kahā nahīñ shāyad
vaqt kamzor hī ko chuntā hai
aur kamzor the hamīñ shāyad
itne taare kahāñ se ugte haiñ
āsmāñ par bhī hai zamīñ shāyad
mujh se hi khoya hai yaqin shayad
dekhun hoga yahin kahin shayad
thak chuki hain udasiyan mujh se
dastaken aur den kahin shayad
kya kabhi bewafa wo niklega
dil ne jhaT se kaha nahin shayad
waqt kamzor hi ko chunta hai
aur kamzor the hamin shayad
itne tare kahan se ugte hain
aasman par bhi hai zamin shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.