mujhse ek baat kiya kijiye bas
mujh se ik baat kiyā kījiye bas
is qadar mehr-o-vafā kījiye bas
āfrīñ sāmne āñkhoñ ke mirī
yuuñ hī tā-der rahā kījiye bas
dil-e-bīmār huā ab chañgā
dosto tark-e-davā kījiye bas
ḳhūn-e-āshiq se ye parhez use
āshnā-e-kaf-e-pā kījiye bas
sharm tā-chand hayā bhī kab tak
muñh se burqe ko judā kījiye bas
gar zabāñ apnī ho goyā to mudām
tāle.oñ kā hī gilā kījiye bas
tum miyāñ 'mus.hafī' ruḳhsat to hue
ab khaḌe kyuuñ ho duā kījiye bas
mujh se ek baat kiya kijiye bas
is qadar mehr-o-wafa kijiye bas
aafrin samne aankhon ke meri
yun hi ta-der raha kijiye bas
dil-e-bimar hua ab changa
dosto tark-e-dawa kijiye bas
KHun-e-ashiq se ye parhez use
aashna-e-kaf-e-pa kijiye bas
sharm ta-chand haya bhi kab tak
munh se burqe ko juda kijiye bas
gar zaban apni ho goya to mudam
taleon ka hi gila kijiye bas
tum miyan 'mushafi' ruKHsat to hue
ab khaDe kyun ho dua kijiye bas
- Book : Ghulam hamdani Mashafi (Pg. 148)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.