mujhse kahte hain ki main zulm sahun kuchh na kahun
mujhse kahte hain ki main zulm sahun kuchh na kahun
Abdur Rahim Nashtar
MORE BYAbdur Rahim Nashtar
mujh se kahte haiñ ki maiñ zulm sahūñ kuchh na kahūñ
harf-e-haq sirf kitāboñ meñ paḌhūñ kuchh na kahūñ
haañ vahī haath mire jaisoñ kā qātil hai magar
maiñ usī haath ko mazbūt karūñ kuchh na kahūñ
dūsrā kaun jise pesh karūñ sar apnā
dushman-e-jāñ hī sahī qadr karūñ kuchh na kahūñ
mujh se kahte hain ki main zulm sahun kuchh na kahun
harf-e-haq sirf kitabon mein paDhun kuchh na kahun
han wahi hath mere jaison ka qatil hai magar
main usi hath ko mazbut karun kuchh na kahun
dusra kaun jise pesh karun sar apna
dushman-e-jaan hi sahi qadr karun kuchh na kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.