mujhse kyon chhin li hai KHamoshi
mujh se kyoñ chhīn lī hai ḳhāmoshī
merī to zindagī hai ḳhāmoshī
shor se reza reza ho kar bhī
ḳhāmushī meñ paḌī hai ḳhāmoshī
chāñd tab karvaTeñ badaltā hai
baal jab kholtī hai ḳhāmoshī
maiñ ka.ī din se kho gayā huuñ kahīñ
is liye ro rahī hai ḳhāmoshī
hāl-e-dil jab bhī maiñ sunātā huuñ
zor se chīḳhtī hai ḳhāmoshī
jis tarah ho koī hasīñ dulhan
yuuñ sajā ke rakhī hai ḳhāmoshī
mujh se kyon chhin li hai KHamoshi
meri to zindagi hai KHamoshi
shor se reza reza ho kar bhi
KHamushi mein paDi hai KHamoshi
chand tab karwaTen badalta hai
baal jab kholti hai KHamoshi
main kai din se kho gaya hun kahin
is liye ro rahi hai KHamoshi
haal-e-dil jab bhi main sunata hun
zor se chiKHti hai KHamoshi
jis tarah ho koi hasin dulhan
yun saja ke rakhi hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.