mujhse mahbub juda hai to koi baat nahin
mujh se mahbūb judā hai to koī baat nahīñ
dil lagāne kī sazā hai to koī baat nahīñ
kaj-adā yaar milā hai to koī baat nahīñ
ye vafā hī kā sila hai to koī baat nahīñ
merī sūrat se pareshān bahut rahtā thā
ā.īna TuuT gayā hai to koī baat nahīñ
ba.ad mere mirī chāhat kī misāleñ doge
aaj dil merā jalā hai to koī baat nahīñ
apnī rūdād-e-mohabbat meñ sunā.ūñ kis ko
chārāgar bhuul rahā hai to koī baat nahīñ
apnī yādoñ ke sahāre to na chhīno mujh se
sāneha ho hī gayā hai to koī baat nahīñ
ab to 'amber' ke sitāre bhī bujhe rahte haiñ
ye muqaddar kā likhā hai to koī baat nahīñ
mujh se mahbub juda hai to koi baat nahin
dil lagane ki saza hai to koi baat nahin
kaj-ada yar mila hai to koi baat nahin
ye wafa hi ka sila hai to koi baat nahin
meri surat se pareshan bahut rahta tha
aaina TuT gaya hai to koi baat nahin
baad mere meri chahat ki misalen doge
aaj dil mera jala hai to koi baat nahin
apni rudad-e-mohabbat mein sunaun kis ko
chaaragar bhul raha hai to koi baat nahin
apni yaadon ke sahaare to na chhino mujh se
saneha ho hi gaya hai to koi baat nahin
ab to 'amber' ke sitare bhi bujhe rahte hain
ye muqaddar ka likha hai to koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.